gard-alud hain aur KHun mein nahae hue hain

gard-alud hain aur khun mein nahae hue hain
ye jo tair hain ye kis shahr se aae hue hain

raaten aa aa ke udane lagin nindon ka mazaq
tum ne aankhon ko bahut khwab dikhae hue hain

kal jinhen apni kahani mein kiya tha shamil
ab wo kirdar meri jaan ko aae hue hain

sahmi sahmi si khadi dekh rahi hai duniya
meri bebakiyan kuchh raaz chhupae hue hain

jo gulabon ke kharidar the ab to wo bhi
cactus shan se gamlon mein lagae hue hain

zid hai girti hui diwar bachane ki hamein
aur baadal bhi bahut tut ke chhae hue hain

ye hi hota hai mohabbat mein yahi hota hai
aap be-wajh hi tufan uthae hue hain

ye na aa jaen kahin qaht-e-adab ki zad mein
hum ne tahzib ke kuchh ped lagae hue hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close