dhup kamre mein chali aai thi

dhup kamre mein chali aai thi
jab dariche se shanasai thi

shahr ka shahr umad aaya tha
kya ajab pursish-e-tanhai thi

main ne shamshir bana li us se
tum ne zanjir jo pahnai thi

kuchh to badla hai bichhad kar us se
raat kyon nind nahin aai thi

shahr-e-girya ke shab-o-roz na puchh
raat ke ba'd bhi raat aai thi

tum ne samjha tha nawazish jis ko
wo to zakhmon ki pazirai thi

us ne aankhon se pukara tha mujhe
meri lafzon se shanasai thi

wo to kaam aa gai wahshat 'tariq'
warna ruswai hi ruswai thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close