gard-e-majnun le ke shayad baad-e-sahra jae hai jaane kis wahshat mein basti ko bagula jae hai main na kahta tha ki lazim hai nigah bhar fasla jab bahut nazdik ho to aks dhundla jae hai kya karun ai tishnagi tera mudawa bas wo lab jin labon ko chhu ke pani aag banta jae hai khauf ka mafhum pahli bar samjha ishq mein baat hoti kuchh nahin aur jaan ko aa jae hai le jahan ko taj diya le khinch dali apni khaal ab usi mear par aashiq ko parkha jae hai