gard-e-safar mein aankh se ojhal kitne hi rah-gir hue jitne saya-dar shajar the rah mein daman-gir hue jiwan bhar ka bandhan hum to ghar se tod ke nikle the lekin kuchh an-jaane rishte pairon ki zanjir hue khel hi khel mein ek khilauna hath se gir kar tut gaya nanhe munne hanste bachche ashkon ki taswir hue hum ne jo tahriren likkhin sab ki sab matruk huin waqt ke hathon hum bhi kaisi be-mani tafsir hue