har chehra na jaane kyun ghabraya hua sa hai bechain sa lagta hai tadpaya hua sa hai kya dhoka naya koi khaya hai mohabbat mein har uzw-e-badan us ka tharraya hua sa hai aaankhon mein chamak si hai rukhsar mein surkhi si aaghosh mein ulfat ki sharmaya hua sa hai khilne ki tamanna thi zulfon ke gulistan mein dil tut gaya gul ka murjhaya hua sa hai khulne mein qabahat hai gesu-e-mohabbat ko chehra shab-e-hasrat ka pathraya hua sa hai alfaz ki aaankhon se barsat hai ashkon ki lahja gham-e-jaanan se bharraya hua sa hai nafrat ki shuaon ki yalghaar hai har jaan par jis qalb mein bhi jhanko kumhlaya hua sa hai ilhad ka hamla hai 'jawed' har ek jaanib aalam ka ye aalam hai paglaya hua sa hai