gardish-e-chashm hai paimane mein tum gae ho kabhi maikhane mein ek jalwa sa nazar aata hai koi to hai mere gham-khane mein yun hai sine mein dil-e-pur-hasrat qabr jaise kisi virane mein saz-e-nairang hai meri zanjir nai aawaz hai har dane mein dekh ai dil na mujhe chhod ke ja farq aa jaega yarane mein jal ke aashiq hue mashuq sifat shama ka soz hai parwane mein jaan us but mein lagi rahti hai apne ko pate hain begane mein be-khudi ne na kahin ka rakkha hum hain basti mein na virane mein sang-e-dar tak tere jab sar pahuncha lakh sajde kiye shukrane mein nahin malum gaya kis jaanib dil laga hai tere diwane mein qissa-e-hazrat-e-yusuf na suno turfa ibrat hai is afsane mein haal-pursi nahin karta koi bekasi hai mere gham-khane mein is tarah dil mein hai aahon ka dhuan jaise khak udti hai virane mein barakat kis ke qadam ki hai 'rashid' ki azan hoti hai but-khane mein