jo apni chashm-e-tar se dil ka para chhod jata hai wahi mahfil mein gham ka istiara chhod jata hai myan ghurbat mein har ek be-sahaara chhod jata hai andhera ho to saya bhi hamara chhod jata hai jidhar jalwe bikharte hain udhar karta nahin nazren shikast-e-khwab ke dar se nazara chhod jata hai mujhe sairab karta ja agar tu ek samundar hai faqat pyase pe kyun ilzam sara chhod jata hai har ek hai mahw-e-hairat wo karishma-saz hai aisa sar-e-mahfil jo ek rangin nazara chhod jata hai main akasr kashti-e-mauj-e-bala par sair karta hun mujhe sahil pe us ka ek ishaara chhod jata hai ajab hai mera mohsin bhi ki jate waqt wo akasr meri palkon pe ek raushan sitara chhod jata hai