gardish-e-dauran se ek lamha churane liye sochna padta hai kitna muskurane ke liye kitni zahmat jhelta hai ek muflis mezban ghar ki bad-hali ko mehman se chhupane ke liye bhuk un ko le gai hai kar-khanon ki taraf ghar se bachche nikle the school jaane ke liye khun apna bech kar aaya hai ek majbur bap betiyon ke hath par mehndi lagane ke liye zindagi jalti hai kitni dozakhon ki aag mein chaar-diwaron ki ek jannat banane ke liye hae tyauhaaron ne logon ko bhikari kar diya qarz lena padta hai khushiyan manane ke liye ho rahe hain aaj dana aandhiyon mein mashware sirf mere ghar ka ek dipak bujhane ke liye