apna har uzw chashm-e-bina hai is qadar intizar tera hai jo hai mahbub tera shaida hai yusuf aage teri zulekha hai ek mah-ru baghal mein sota hai aasman par dimagh apna hai khak mein jo mila diya mujh ko aasman ne zamin ko saunpa hai kis ne chehre se baal sarkae sham ko subh aashkara hai ustukhwan tak kabhi guzar na kiya mere haq mein huma bhi anqa hai tere qadmon pe kyun na qais gire naqsh-e-pa rashk-e-ru-e-laila hai in dinon ai masih-e-dam tujh par dam nikalta hai dam nikalta hai taulun us sim-tan ko nazron mein ye mera jism-e-zar kanta hai husn-e-khuban hilal-o-badr ki tarah kabhi kam hai kabhi ziyaada hai us bayaban mein le gai wahshat mah-e-nau jis ka ek kanta hai dil mein rahta hai us kamar ka khayal kya ye anqa ka aashiyana hai aao aankhon mein ek dam thahro putliyon ka yahan tamasha hai kaf-e-pa bhi na hum ko dikhlae barhaman hath dekh jata hai yar nam-e-khuda hai kashti mein nakhuda aaj par beda hai tera naqsh-e-qadam zamin pe nahin aasman par koi sitara hai hum se tum dushmani lage karne dosti ab nasib-e-ada hai kah rahe hain shab-e-firaq mein hum aaj kis ko umid-e-farda hai khar chubh kar jo tutta hai kabhi aabla phut phut rota hai aankhen nargis hain rukh hai gul qad sarw tu to ai gul chaman sarapa hai kaam poshak se nahin hum ko aib-poshi hamara shewa hai de sulaiman ki us pari ko qasam is tarah shishe mein utara hai zulf ne naqd-e-dil kiye hain jama ab to ye sanp kodyala hai pahunche hain gor ke kinare hum hum se ab tak tumhein kinara hai jurm 'goya' ke bakhshwa dena ya-mohammad faqir tera hai