gardish ka ek lamha yun bebak hua sone chandi ka har manzar khak hua nahr kinare ek samundar pyasa hai dhalte hue suraj ka sina chaak hua ek shaffaf tabiat wala sahrai shahr mein rah kar kis darja chaalak hua shab ujli dastaren kya sar-garm huin bhor samay sara manzar namnak hua wo to ujalon jaisa tha us ki khatir aane wala har lamha saffak hua khal-o-khad manzar paikar aur gul bute khub hue mere hathon mein chaak hua ek talab ki lahron se ladte ladte wo bhi kale dariya ka pairak hua mausam ne karwat li kya aandhi aai ab ke to kohsar khas-o-khashak hua baatin ki sari lahren thin joban par us ke aariz ka til bhi bebak hua chand suhane manzar kuchh kadwi yaaden aakhir 'amabar' ka bhi qissa pak hua