baat ye hai ki koi baat purani bhi nahin aur is khak mein ab koi nishani bhi nahin ye to zahir mein tamawwuj tha bala ka lekin ye badan mera jahan koi rawani bhi nahin ya to ek mauj-e-bala-khez hai meri khatir ya ki mashkiza-e-jaan mein kahin pani bhi nahin baat ye hai ki sabhi bhai mere dushman hain masala ye hai ki main yusuf-e-sani bhi nahin sach to ye hai ki mere pas hi dirham kam hain warna is shahr mein is darja girani bhi nahin sare kirdar hain angusht-ba-dandan mujh mein ab to kahne ko mere pas kahani bhi nahin ek benam-o-nasab sach mera izhaar hua warna alfaz mein wo sail-e-maani bhi nahin