gareban ko junun mein ta-ba-daman chaak hona tha jawab-e-jada-e-sahra-e-wahshat-nak hona tha taghaful ke gile sun kar jhuka lin tum ne kyon aankhen mere sharminda karne ko zara bebak hona tha nigah-e-garm ki bijli se jalna tha muqaddar mein kisi ko aag hona tha kisi ko khak hona tha jo aankhen puchhtin us ki to dil mera bata deta yahan sharma ke jhukna tha yahan bebak hona tha tadap dil ki dikhana tha 'jalal' un shokh-chashmon ko wahin ki bakht ne susti jahan chaalak hona tha