dil hai wabasta mera hasrat-e-nakaam ke sath taza ho jate hain sab zakhm tere nam ke sath us ne har halq-e-tamanna pe chalaya khanjar yun hai paikar meri gardish-e-ayyam ke sath dard-e-ulfat mera karta hai tarannum-rezi kirnen ro ro ke gale milti hain jab sham ke sath sang ban jata agar main bhi bara-e-ishrat zindagi phir to guzarti bade aaram ke sath har jihat se raha duniya mein sarasar nakaam ji raha hun main khushi se isi ilzam ke sath rahi-e-zist agar azm-e-safar hai pur-josh phir to wabasta hai manzil tere har gam ke sath ye bana deta hai insan ko mukammal patthar yun rahi dahr mein nafrat mujhe aaram ke sath aatish-e-gham ne tapa kar kiya kundan mujh ko isi bais to 'jali' ishq hai aalam ke sath