garm-e-fughan hai jaras uth ki gaya qafila wae wo rah-rau ki hai muntazir-e-rahila teri tabiat hai aur tera zamana hai aur tere muafiq nahin khanqahi silsila dil ho ghulam-e-khirad ya ki imam-e-khirad salik-e-rah hoshiyar sakht hai ye marhala us ki khudi hai abhi sham-o-sahar mein asir gardish-e-dauran ka hai jis ki zaban par gila tere nafas se hui aatish-e-gul tez-tar murgh-e-chaman hai yahi teri nawa ka sila