mamur-e-uns qalb-e-munawwar talash kar labrez iltifat se paikar talash kar tujh ko jo de dua to khuda rad nahin kare aisa koi faqir-o-qalandar talash kar manzil se ham-kanar kare karwan ko jo aisa koi jahan mein rahbar talash kar bulbul ho fakhta ho ki shahin ki baz ho sab mil ki ud saken tu wo ambar talash kar mushkil bahut hai phir bhi zamane mein ai 'zaki' mehr-o-wafa-o-khulq ka paikar talash kar ghawwas gar samajhta hai khud ko to ai 'zaki' to bahr-e-fan mein dub ke gauhar talash kar zulm-o-sitam to had se guzarne lage 'zaki' amn-o-aman ka koi payambar talash kar