garmi-e-khun uljhe lagi aakhiri munjamid pahr se dekhiye ab guzarte hain hum kis qayamat ke shab-e-shahr se yun lage dard-bakhshida ki ibtida bhi ek intiha sang chate lab-e-ishtiha pyas bujhti nahin zahr se muntazir aankh ke des mein koi chhutti bhi aaya nahin kaun aafiyyat-e-dostan laega dusre shahar se mere andar ki na-pukhtagi jism bahar ke bhi dah gai ghar ke ghar zer-e-ab aa gae ek shigafi hui nahr se meri rae mein 'iqbaal' wo nasl duniya mein hai aur nahin jis ne bakhsha na kuchh waqt ko jis ne paya na kuchh dahr se