zara sukun bhi sahra ke pyar ne na diya musafiron ko hawa ne pukarne na diya tujhe bhi de na sake chain wo gulab ke phul mujhe bhi izn-e-tabassum bahaar ne na diya na jaane kitne marahil ke baad paya tha wo ek lamha jo tu ne guzarne na diya kahan gae wo jo aabaad the kharabe mein pata kisi ka dil-e-be-qarar ne na diya main aap-apne liye dushmanon se badh kar tha 'ziya' ye dil tha mera jis ne haarne na diya