garmi jo aai ghar ka hawa-dan khul gaya sahil pe jab gaya to har insan khul gaya pahle to long-march ke haq mein diya bayan phir 'qadri' ko dekh ke 'imrran' khul gaya ek maulwi ki aankh mein binai aa gai jab rail mein kisi ka gareban khul gaya tum nashte ki mez pe baithi ho is tarah yun lag raha hai jaise namak-dan khul gaya do chaar din se meri samaat block thi tum ne ghazal padhi to mera kan khul gaya laute wo jab safar se kanizon ne ye kaha bhago janab-e-shaikh ka saman khul gaya mere khutut padh ke wo roti hai is tarah lagta hai 'mir-anis' ka diwan khul gaya mere ishaiye ka tha time isha ke baad aaghaz-e-guftugu mein hi mehman khul gaya bazm-e-sukhan mein puri musaddas undel kar had se ziyaada 'khalid'-e-irfan khul gaya