wo mere shana-ba-shana bhi to ho sakta hai ye safar mera suhana bhi to ho sakta hai ye zaruri to nahin qasd-e-safar manzil ho muddaa khak udana bhi to ho sakta hai itni shiddat se na kar yaad mere dil us ko ki abhi us ko bhulana bhi to ho sakta hai jang mein sab kahan shamshir-zani karte hain kaam lashon ko uthana bhi to ho sakta hai is mein kuchh aayaten dozakh ki bhi shamil kar lo baz logon ko darana bhi to ho sakta hai dil ko zakhmon se zara aur saja lo 'abbas' ye use ja ki dikhana bhi to ho sakta hai