garmi nigah-e-dost ki dil mein liye hue

garmi nigah-e-dost ki dil mein liye hue
guzre jahan ko saz-e-mohabbat diye hue

be-kaifiyon ke bojh se dabti hayat mein
tum aae nur-e-nikhat-o-naghma liye hue

sunsan rahen jag uthi aa rahe hain wo
jalwon se har qadam pe charaghan kiye hue

eajaz us tabassum-e-jaanan ka dekhiye
gham-ha-e-rozgar mein hain hum jiye hue

ho husn ki sharab ki sahba-e-ishq ho
tum ho piye hue to hain hum bhi piye hue

aashuftagi mein aane laga hai maza mujhe
muddat hui hai chaak gareban kiye hue

mujh tishna-lab tak aae na aae wo daur-e-jam
lekin tera khayal hai sahab liye hue

saqi ki hai nawazish usi par hi munhasir
kya zarf hai jo hathon mein hum hain liye hue

kis imtihan ko khel samajh kar na khele hum
kis rah ko hai na ahl-e-wafa tai kiye hue

aae hain aaj bazm mein us shokh ki 'habib'
aankhon mein shauq dil mein tamanna liye hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close