fikr-e-jahan se khele zor-e-butan se khele

fikr-e-jahan se khele zor-e-butan se khele
hum daur-e-zindagi mein har imtihan se khele

phulon se koi khela kaliyon se koi uljha
hum dard-ashna the dard-e-nihan se khele

jab bichhde doston ki yaad i baithe baithe
hum be-qarar ho kar ashk-e-rawan se khele

aasan na tha guzarna kuchh rah-e-ashiqi se
hasti mitai apni apni hi jaan se khele

duniyan ki fikr kaisi uqba ka khauf kaisa
saqi ki ek nazar par hum do-jahan se khele

go husn-e-dilruba hai dil ki khalish bala hai
khele sambhal ke wo jo ishq-e-butan se khele

mazi ne di sadaen dekha magar na mud kar
hum yun 'habib' aksar umr-e-rawan se khele


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close