gate hue pedon ki khunuk chhanw se aage nikal aae hum dhup mein jalne ko tere ganw se aage nikal aae aisa bhi to mumkin hai mile be-talab ek muzhda-e-manzil hum apni duaon se tamannaon se aage nikal aae kahte hain ki jismon ko ek ruh-e-muqaddas ki dua hai wo jism ki jo apne thake panw se aage nikal aae thoda sa bhi jin logon ko irfan-e-mazahib tha wo bach kar kabon se shiwalon se kalisaon se aage nikal aae the hum bhi gunahgar par ek zahid makkar ki zid bazar mein bikti hui salmaon se aage nikal aae shahron ke makinon se mili jab hamein wahshat ki zamanat hum si ke garebanon ko sahraon se aage nikal aae banti rahi ek duniya 'qatil' apni kharidar magar hum yusuf na bane aur zulekhaon se aage nikal aae