raste ka intikhab zaruri sa ho gaya ab ikhtitam-e-bab zaruri sa ho gaya hum chup rahe to aur bhi ilzam aaega ab kuchh na kuchh jawab zaruri sa ho gaya hum talte rahe ki ye naubat na aane pae phir hijr ka azab zaruri sa ho gaya har sham jald sone ki aadat hi pad gai har raat ek khwab zaruri sa ho gaya aahon se tutta nahin ye gumbad-e-siyah ab sang-e-aftab zaruri sa ho gaya dena hai imtihan tumhaare firaq ka ab sabr ka nisab zaruri sa ho gaya