gaurayyon ne jashn manaya mere aangan barish ka baithe baithe aa gai nind israr tha ye kisi khwahish ka chand kitaben thode sapne ek kamre mein rahte hain main bhi yahan gunjaish bhar hun kis ko khayal aaraish ka thahar thahar kar kaund rahi thi bijli bahar jangal mein train ruki to sarpat ho gaya ghoda waqt ki tazish ka tis purane zakhmon ki thi nind uchat gai aankhon se bhig raha tha karwat karwat gosha gosha baalish ka kisi ke dil par dastak dunga kisi ke gham ka dukhda hun sunne wale samajh rahe hain naghma hun farmaish ka sar ke upar khak udi to sab dil tham ke baith gae khabar nahin thi guzar chuka hai mausam abr-e-nawazish ka reng rahi thin amar-lataen chhup chhup kar shadabi mein uryan hoti shakhon se ab bharam khula zebaish ka apni hi dhun mein magan rahta hai sachche sur ka sazinda jaise ki main hun matwala khud apne tarz-e-nigarish ka qadam qadam hai virana kahin aur 'khalish' ab kya jaana warna shauq mujhe bhi kal tha sahra ki paimaish ka