gaya jab bhi to sar-ta-pa gaya main jahan aksar nahin aaya gaya main hawa aa jaegi dar band kar lo diye ki chikh se ghabra gaya main jamegi kai ek muddat mein us par yahi kuchh soch kar rakkha gaya main taaruf raushni ka ho gaya jab to is ke baad bulwaya gaya main har ek rasta tere ghar ka tha rasta ye sab kuchh dekh kar ukta gaya main dalael aql istidlal ijad magar ek ishq se takra gaya main jo apni aql par nazan bahut tha use dil tak to le kar aa gaya main ibaadat phir dua aur phir ibaadat khuda se kis qadar manga gaya main wahan ek sabr tha be-intiha sabr yahan ek dil jise tadpa gaya main yahan aawaz thi hairat wahan thi so ghar se chal pada chalta gaya main