hijr ke mare kiwadon se purane se ye khwab ashk ban kar nikal aate hain bahane se ye khwab raat bhar jagta rahta hai isi soch mein dil chale jaen na kahin nind ke aane se ye khwab paenti se ho laga sar to sukun hai warna uth ke aa jate hain aankhon mein sirhane se ye khwab is liye bhi to nahin nind mein chalta hun main tez khak ho jaen na phir khak udane se ye khwab yaad aate hi diye mein bhadak uthti hai wo lau baz aate hi nahin sina jalane se ye khwab bhul kar bhi na kahin tazkira karna un ka ki dobara nahin aate hain sunane se ye khwab jagta rahta hai aankhon mein gai shab ka malal aur chhupte hi nahin lakh chhupane se ye khwab nahin milta hai agar aks to jhunjhla ke main phir khinch lata hun tere aaina-khane se ye khwab