gaya wo chhoD kar kamre hamare

gaya wo chhod kar kamre hamare
so ab hain band darwaze hamare

wo har qimat pe hum ko chahta hai
use manzur hain nakhre hamare

wo jis ke waste pahne the hum ne
pasand aae use kapde hamare

bichhad kar tujh se ghazlon se hue hain
marasim aur bhi gahre hamare

hamari pagdiyan tak bik chuki hain
magar utre nahin nashshe hamare

kabhi to nam chalta tha hamara
ki ab chalte nahin sikke hamare

ghazal ke sher sab achchhe nahin hain
magar achchhe hain kuchh misre hamare

tumhaare ahd bhi sachche kahan the
chalo jhute the kuchh wade hamare

hum apne ganw ke majnun hain 'shadab'
bahut mashhur hain qisse hamare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close