kahan kahan pe lage zakhm kya dikhaun use main kis zaban se kahun haal-e-dil sunaun use wo mujh ko bhul ke duniya basa chuka hai magar main ab bhi soch raha hun ki bhul jaun use har ek shab main yahi sochta hun bistar par jo ahd khud se kiya hai kabhi nibhaun use ana ne ishq ke pairon mein dal di zanjir main naz kaise karun raqs kar dikhaun use mera ghurur meri rah ki rukawat hai main sirf soch raha hun ki ab hataun use kase na tana use tamkanat se tez hua charagh bujh gaya jo khun se jalaun use gulab kaise khilaen agar ho sakht zamin hunar ghazal ka ye 'shadab' main sikhaun use