gaya wo khwab-e-haqiqat ko ru-ba-ru kar ke bahut udas hun main un se guftugu kar ke abhi na chhod qaba-e-umid ka daman abhi to zakhm chhupa chaak-e-dil rafu kar ke karo na dafn ki maqtal ka nam uncha ho lita do khak pe lashe ko qibla-ru kar ke unhin mein mah-sifat bhi hain mehr-asa bhi mile hain dagh kai un ki aarzu kar ke utho 'naim' ki bagh-e-adam se ho aaen wahin gae hain 'tapish' dil ko yun lahu kar ke