gham se bikhra na paemal hua main to gham se hi be-misal hua waqt guzra to mauja-e-gul tha waqt thahra to mah-o-sal hua hum gae jis shajar ke sae mein us ke girne ka ehtimal hua bas ki wahshat thi kar-e-duniya se kuchh bhi hasil na hasb-e-haal hua sun ke iran ke nae qisse kuchh ajab sufiyon ka haal hua jaane zindan mein kya kaha us ne jis ka kal raat intiqal hua kis liye zulm hai rawa is dam jis ne puchha wo paemal hua jis talluq pe fakhr tha mujh ko wo talluq bhi ek wabaal hua ai 'hasan' neza-e-rafiqan se sar bachana bhi ek kamal hua