ghaalib ki ye dil-khasta shab-e-hijr mein mar jae ye raat nahin wo jo kahani mein guzar jae hai turfa mufattin-nigah us aaina-ru ki ek pal mein kare sainkadon khun aur mukar jae ne but-kada hai manzil-e-maqsud na kaba jo koi talashi ho tera aah kidhar jae har subh to khurshid tere munh pe chadhe hai aisa na ho ye sada kahin ji se utar jae yaqut koi un ko kahe hai koi gul-barg tuk hont hila tu bhi ki ek baat thahar jae hum taza shahidon ko na aa dekhne nazan daman ki teri zah kahin lohu mein na bhar jae girye ko mere dekh tuk ek shahr ke bahar ek sath hai pani ka jahan tak ki nazar jae mat baith bahut ishq ke aazurda dilon mein nala kasu mazlum ka tasir na kar jae is warte se takhta jo koi pahunche kinare to 'mir' watan mere bhi shayad ye khabar jae