taras raha hun magar tu nazar na aa mujh ko ki khud juda hai tu mujh se na kar juda mujh ko wo kapkapate hue hont mere shane par wo khwab sanp ki manind das gaya mujh ko chatakh utha ho sulagti chatan ki surat pukar ab tu mere der-ashna mujh ko tujhe tarash ke main sakht munfail hun ki log tujhe sanam to samajhne lage khuda mujh ko ye aur baat ki aksar damak utha chehra kabhi kabhi yahi shoala bujha gaya mujh ko ye qurbaten hi to wajh-e-firaq thahri hain bahut aziz hain yaran-e-be-wafa mujh ko sitam to ye hai ki zalim sukhan-shanas nahin wo ek shakhs ki shaer bana gaya mujh ko use 'faraaz' agar dukh na tha bichhadne ka to kyun wo dur talak dekhta raha mujh ko