ghaaliban mere alawa koi guzra bhi nahin teri manzil mein kahin naqsh-e-kaf-e-pa bhi nahin aap ki rah mein duniya nazar aati hai mujhe ek qadam aur jo badh jaun to duniya bhi nahin aap kya soch ke gham apna ata karte hain himmat-e-dil to ba-qadr-e-gham-e-duniya bhi nahin tum to be-misl ho tauhid-e-mohabbat ki qasam tum sa kya hoga jahan mein koi mujh sa bhi nahin hashr ki bhid mein ek ek ka munh takta hun is bhari-bazm mein ek jaanne wala bhi nahin husn ne dawat-e-nazzara har ek rang se di ishq ne aankh utha kar kabhi dekha bhi nahin ek tum ho ki tamannaon ke dushman hi rahe ek main hun mujhe ehsas-e-tamanna bhi nahin juzw-e-dil ban ke samati hai mohabbat dil mein ye wo kanta hai ki hai aur khatakta bhi nahin yaad aati hai 'saba' be-watnon ki kis ko mujh ko yaran-e-watan se koi shikwa bhi nahin