ghaaliban waqt ki kami hai yahan warna har chiz didani hai yahan sare raste idhar hi aate hain ye jo aabaad ek gali hai yahan ye hawa yun hi khak chhanti hai ya koi chiz kho gai hai yahan zindagi hi mera asasa hai wo bhi taqsim ho rahi hai yahan kyun andhera nazar nahin aata kaun si aisi raushni hai yahan maut kasa uthae phirti hai aur tahi-dast zindagi hai yahan mere andar ka shor hai mujh mein warna bahar to khamushi hai yahan shahr apna dikhai deta hai waise har shakhs ajnabi hai yahan kaun si shai hai daimi 'ghaer' kaun si baat aakhiri hai yahan