kahta hai har makin se makan bolte raho is chup mein bhi hai ji ka ziyan bolte raho har yaad har khayal hai lafzon ka silsila ye mahfil-e-nawa hai yahan bolte raho mauj-e-sada-e-dil pe rawan hai hisar-e-zist jis waqt tak hai munh mein zaban bolte raho apna lahu hi rang hai apni tapish hi bu ho fasl-e-gul ki daur-e-khizan bolte raho qadmon pe bar hote hain sunsan raste lamba safar hai ham-safaran bolte raho hai zindagi bhi tuta hua aaina to kya tum bhi ba-tarz-e-shisha-garan bolte raho 'baqi' jo chup rahoge to utthengi ungliyan hai bolna bhi rasm-e-jahan bolte raho