ghadi bhar aaj wo mujh se raha khush khuda rakkhe use is se siwa khush ye main jo har tarah nashad-o-na-khush phir aise se rahe un ki bala khush kabhi khush hai kabhi wo mujh se na-khush hamesha kaun duniya mein raha khush tumhin tum khush to phir ke lutf-e-sohbat maza milne ka hai ho dusra khush tumhin tum khush to phir kya lutf-e-sohbat maza milne ka hai ho dusra khush khushi ki mil gain do-chaar sansen ki wo bad-ahd aaya khush gaya khush jo wo baaton se khush karne pe aate to hote banda-e-dargah kya khush samajhte hain ki ye gustakh bhi hai zara na-khush hain wo mujh se zara khush kahan tak zabt ab karta hun nala sitamgar khush rahe mujh se ki na-khush dar-e-daulat pe the lakhon bhikari na palta koi mahrum aur na-khush ilahi-bakht tu bedar-e-baada adu na-khush rahin aur aashna khush suni hai barha meri tamanna kiya hai us ne mujh ko barha khush khushi se aaj us ne baat kar li tabiat ho gai be-intiha khush karo wo kaam jo kal kaam aae chalo wo chaal jis se ho khuda khush ilahi daur-e-usmani ho daem ki hai is ahd mein chhota bada khush khushi meri kisi ke hath mein hai hua khush jo kisi ne kar diya khush safi' meri khushi-o-na-khushi kya rakkha jis haal mein us ne raha khush