ayyam-e-shabab apne bhi kya aish-asar the kahte hain jinhen aib wo us waqt hunar the din-raat wo mahbub mayassar the ki jin ki zulfen alam-e-sham thin rukh rashk-e-sahar the saqi ke idhar jam idhar naz-o-ada se jadu-nazran khush-nighan pesh-e-nazar the mahfil se jo uthte the zara hum to lipat kar nazuk-badnan mu-kamaran dast-o-kamar the hamrah gul-andamon ke ho khurram-o-khandan bagh-o-chaman-o-gulshan-o-bustan mein guzar the kya shor the kya zor the har lahza aha-ha kya walwale kya qahqahe be-khauf-o-khatar the dikhla ke jhamak jate rahe dam mein 'nazir' aah kya jaane wo din barq the ya misl-e-sharar the