ghadi bhar rang nikhra surat-e-gul-ha-e-tar mera usi hasti pe us gulshan mein tha ye shor-o-shar mera nizam-e-bazm-e-duniya hashr ke maidan ka naqsha hai yahi hai shamat-e-isyan bhatakna dar-ba-dar mera samajhta hun wasila maghfirat ka sharm-e-isyan ko ki ashkon se mere dhul jaega daman-e-tar mera faza-e-kaba-e-athar ka naqsha aankh se dekhun ilahi is hawa mein khushk ho daman-e-tar mera dar-e-kaba pe jab sajde kiye aawaz ye aai buton ki thokaren kha kar tujhe sujha hai ghar mera naqab-e-husn jab uttha to aankhen khul gain meri farogh-e-husn tha dam-bhar ko manind-e-sharar mera use parde mein rah kar bhi khayal aata hai rah rah kar ki raaz ifsha na kar de khalq mein husn-e-bashar mera guzar kar khana-e-dil se badhun kyun tur ki jaanib ki barq-e-husn se jalne ko hai maujud ghar mera sanam qadmon pe girte hain zabanen band rahti hain buton par roab hai allahu-akbar is qadar mera mohabbat ki har ek manzil pe sahra-e-adam nikla khizar bhi sath de sakte nahin har gam par mera farishte bhi na samjhe aaj tak meri haqiqat ko ki taj-e-ashraf-e-makhluq ki zinat hai sar mera zaban par zikr jari tha barabar hamd-e-khaliq ka azal mein kaam thahra midhat-e-khairul-bashar mera zaban-e-shama main ne kat li hai bad-guman ho kar ki raaz ifsha na kar de subh ko sham-e-sahar mera meri hasti se pahle kaun samjha sirr-e-wahdat ko rahega tazkira dair-o-haram mein umr-bhar mera wo qatra hun ki jis ki mauj mein bahr-e-haqiqat hai wo zarra hun ki munh takte hain khurshid-o-qamar mera dil-e-majruh ki haalat pe rahm aaya masiha ko dawa ke nam par hansne laga zakhm-e-jigar mera zara pine to de saqi sharab-e-marifat mujh ko udhar phir jaega qibla bhi rukh hoga jidhar mera sada-e-kalematul-haq mein teri tahrik shamil hai anal-haq kahta hai har qatra-e-khun-e-jigar mera yahi surat hai ab taqdir ke chakkar nikalne ki ilahi aastana ho haram ka aur sar mera tujhe ai charkh kya malum rutba dard-e-ulfat ka karega nam raushan khalq mein dagh-e-jigar mera tamanna hai ki 'rasikh' hamd-goi ke wasile se riyaz-e-dahr mein nakhl-e-sukhan ho bar-war mera