dard-e-alam bhi kahin dard-e-mohabbat hi na ho

dard-e-alam bhi kahin dard-e-mohabbat hi na ho
dil ke bahlane ki ye bhi koi surat hi na ho

aaj tazin-e-jamal ek fasana hi sahi
kal ye mashshatgi-e-husn haqiqat hi na ho

un ki aankhon mein machalta hai jo afsana-e-shauq
sochta hun kahin wo meri hikayat hi na ho

be-rukhi par jise mahmul kiya karta hun
wo bhi kuchh aap ka andaz-e-mohabbat hi na ho

aaj khud husn ko dekha hai sar-e-kucha-e-ishq
dekhen aaghaz koi taza riwayat hi na ho

aql bhi ab rasan-o-dar tak aa pahunchi hai
tiflak-e-shauq ki ek ye bhi shararat hi na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close