ghaflaton ka samar uthata hun roz taza khabar uthata hun baat badhti hai tul dene se so ise mukhtasar uthata hun ho ke bashinda ek sitare ka ungliyan chand par uthata hun chumte hain jise utha kar log main use chum kar uthata hun ab kahan aasman chhune ko zahmat-e-baal-o-par uthata hun su-e-manzil mein har qadam apna ek falak chhod kar uthata hun war karti hai jab palat kar mauj ehtiyatan bhanwar uthata hun apni maftuha sar-zaminon par panw rakhta hun sar uthata hun