faeda kuchh nahin ishaaron se hum bahut dur hain kinaron se dil munawwar hua shararon se hum ko nisbat hai chand-taron se khub mahke khizan ke mausam mein zakhm khae the jo bahaaron se gulsitan aap ko mubarak ho apni azmat se reg-zaron se phul barse hain baad marg un par shaghl karte rahe jo kharon se yaad phir rang mein nazar aai zindagi bhar gai nazaron se intizari to jaan le leti sabr milta raha sitaron se koi aawaz jab nahin hoti saz bujhte hain dil ke taron se dil ki gahraiyan kahan tak hain 'shauq' puchho ye gham ke maron se