ghaibi duniyaon se tanha kyun aata hai do honton ke bich ye dariya kyun aata hai jaise main apni aankhon mein dub raha hun ghairon ko aksar ye sapna kyun aata hai meri raaton ke sare asrar samete mujh se pahle mera saya kyun aata hai jahton ke barzakh mein panw ulajh jate hain raste mein sanson ka rasta kyun aata hai sat falak kyun dhalte hain aansu mein mere pani ki tashkil mein sahra kyun aata hai main jab ek hayula hun nafi ka to phir har chehre mein mera chehra kyun aata hai