jab achanak mere pahlu se mera yar utha dard sine mein utha aur kai bar utha zindagi bojh na ban jae tan-asani se apne raste mein kabhi khud koi diwar utha sarsar-e-waqt se ghafil tha tu ai kibr-nazad gir gai khak zamin par teri dastar utha wahm-e-nazara mein hai aafiyat-e-dida-o-dil bhul kar bhi na kabhi parda-e-asrar utha jis se ho jaen mere chahne wale taqsim aisi diwar na koi mere meamar utha khauf-e-tadib se mazlumon pe roya na gaya sham-e-maqtal mein koi bhi na azadar utha dur tak phaila hua dasht-e-bala hai bahar apni mahfil se na mujh ko mere dildar utha naz-bardar-e-hunar ho gae rukhsat kab ke ab bisat-e-sukhan-o-naghma-o-ashaar utha samne tere zar-afshan hai nai subh-e-umid apni palkon ko zara dida-e-khun-bar utha kal 'farasat' tha yahan majma-e-yaran tere sath ab isi shahr mein tanhai ke aazar utha