ghair ke dil pe tu ai yar ye kya bandhe hai hai wo ek baad-farosh aur hawa bandhe hai bul-hawas jama-e-uryani-e-ushshaq ko dekh tu gareban se kyun apna gala bandhe hai yun sharar chhidti hain jaise ki hawai hai chhuti ek saman aah meri ta-ba-sama bandhe hai dil-e-sar-gashta bhi to ek bala mein hai phansa kabhi kholi hai kabhu zulf-e-dota bandhe hai ye to tujh se na hua aawe shab-e-tar mein yar tar shikwon hi ka tu subh-o-masa bandhe hai dekh kar toda gale ka koi dil deta hai mundchara-pan se tu kyun apna gala bandhe hai bewafa manda ki rakkhi to na tujh pas rahun kya karun panw mera dast-e-wafa bandhe hai naf-e-ahu mein na kis tarah se ja kar wo chhupe mushk ki mushkin teri zulf-e-rasa bandhe hai ek jhagadalu ki dukhtar pe hua hai aashiq dil mera jaan ke jhagde ki bina bandhe hai jab jafa se teri hota hun khafa ghusse se tuktuki meri taraf mehr-e-wafa bandhe hai jab kaha main ne ki jude ko meri jaan tu bandh band mahram ke main bandhunga tu kya bandhe hai khol kar baalon ko aashufta-o-barham ho kar tere kahne se kaha meri bala bandhe hai sahl ye taur hai 'ehsan' ghazal ek aur bhi likh hai khula sab pe tu mazmun bandha bandhe hai