na apne zabt ko ruswa karo sata ke mujhe khuda ke waste dekho na muskura ke mujhe siwae dagh mila kya chaman mein aa ke mujhe qafas nasib hua aashiyan bana ke mujhe adab hai main jo jhukae hue hun aankh apni ghazab hai tum jo na dekho nazar utha ke mujhe ilahi kuchh to ho aasan naza ki mushkil dam-e-akhir to taskin de wo aa ke mujhe khuda ki shan hai main jin ko dost rakhta tha wo dekhte bhi nahin ab nazar utha ke mujhe meri qasam hai tumhein rahrawan-e-mulk-e-adam khuda ke waste tum bhulna na ja ke mujhe hamara kaun thikana hai hum to 'bismil' hain na apne aap ko ruswa karo sata ke mujhe