ghair ke ghar tu na rah raat ko mehman kahin ta na is baat ka charcha ho meri jaan kahin ab talak ghunche ki gardan hai jhuki khajlat se us ne dekhi thi teri gue-gireban kahin raaz-e-dil us se kaha main to wale ye dar hai ki mere raaz ko kah de na wo nadan kahin ai pareshani-e-zulf-e-sanam-e-kafir-e-kesh kijiyo tu na mere dil ko pareshan kahin dil ki bechaini se main sakht ba-tang aaya hun chain padta hi nahin hai ise ek aan kahin dhani jode ne tere khet rakha hai mujh ko sabz rang itne to dekhe nahin hain dhan kahin mana kis waste karta hai main tere sadqe id ke din to mujhe hone de qurban kahin dard-e-dil ja ke main kah lun abhi dar ke nazdik ek saat ko hi uth jawe jo darban kahin 'mushafi' ek ghazal aur bhi main likhta hun ye to baiten kai main ne bahut aasan kahin