zulf-e-barham sambhaal kar chaliye rasta dekh-bhaal kar chaliye mausam-e-gul hai apni banhon ko meri banhon mein dal kar chaliye mai-kade mein na baithiye taham kuchh tabiat bahaal kar chaliye kuchh na denge to kya ziyan hoga harj kya hai sawal kar chaliye hai agar qatl-e-am ki niyyat jism ki chhab nikal kar chaliye kisi nazuk-badan se takra kar koi kasb-e-kamal kar chaliye ya dupatta na lijiye sar par ya dupatta sambhaal kar chaliye yar dozakh mein hain muqim 'adam' khuld se intiqal kar chaliye