ghair ki aag mein koi bhi na jalna chahe ek parwana jo ye rit badalna chahe dil ki har gahre samundar mein utarna chahe tez-rau umr ki dam-bhar na thaharna chahe qismat aisi ki jo apne the hue begane aur dil wo jo kisi se na bichhadna chahe zarra zarra jise ek umr sameta hai wo zat sirf ek thes pahunchne pe bikharna chahe zakhm har sang-e-malamat abhi taza hai ye dil phir usi ku-e-malamat se guzarna chahe