chahat ki nazar aap se dali bhi gai hai hasrat kisi aashiq ki nikali bhi gai hai tum ne kisi bimar ko achchha bhi kiya hai haalat kisi bigde ki sambhaali bhi gai hai tum khel samajhte ho magar ye to batao aah-e-dil-e-muztar kabhi khali bhi gai hai kya khak karun mein khalish ishq ka shikwa ye phans kabhi tum se nikali bhi gai hai jhagde bhi kahin rashk-e-raqabat ke mite hain ulfat mein kabhi kham-khayali bhi gai hai 'muztar' ko kabhi husn ka sadqa bhi diya hai ye bhik kabhi aap se dali bhi gai hai