ghair-mumkin hai ki mit jae sanam ki surat dil ka ye naqsh nahin naqsh-e-qadam ki surat raat bimar pe bhaari hai kahin tar-e-nafas tut jae na tere qaul-o-qasam ki surat mai-kasho khub piyo itna magar hosh rahe jam chhalke na kabhi dida-e-nam ki surat hum sa bad-bakht zamane mein koi kya hoga hum ko khushiyan bhi milin dard-o-alam ki surat kaun hai jis se hamein pyar ke do bol milen aaj ke log hain patthar ke sanam ki surat fikr-o-ehsas ki aanchon se pighal kar 'wahid' misl-e-shamshir hui apne qalam ki surat